♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
Sarkar Ka Madina
Ushaaq ka hai pyara Sarkaar ka Madina
har aankh ka hai pyara Sarkaar ka Madina.
Dekhi Sunehri jaali mehraab unka mimbar
Jannat ka hai nazaara Sarkaar ka Madina.
Gunmbad Minaar Unke kya khoob lag rahe hai
Khulde bari ka naqsha Sarkaar ka Madina.
Jis ko yaqeen na aye Taiba Woh Dekh aaye
Jannat se jaise utra Sarkaar ka Madina.
Daaman me hain Uhad ke turbat ye kya niraali
Madfan me hai iske Hamza Sarkaar ka Madina.
Waan Hajio ka Jaana Yaan aasiyon ka aana
Hai kaabe ka bhi kaaba Sarkaar ka Madina
Anwaar hai baraste Shaamo sahar yaha par
hain kis qadar suhana Sarkaar ka Madina
Sarkaar ki gali me gar maut aa gayi to
Bakshish ka hai sahara Sarkaar Ka Madina
Aye kaash maut humko Taibe nagar me aye
Bane aakhri thikana Sarkaar ka Madina.
Hasnain o Fatima ke Maula Ali ke Sadqe
Rahe yun hi aana jaana Sarkaar ka Madina
Rizwan ki dua hai Ahmad ki iltija hai
Bane aankhri Thikana Sarkaar ka Madina.
Jaau madine phir se ye aarzoo dili hai
Ahmad ka ho Thikana Sarkaar ka Madina.
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
0 comments:
Post a Comment