✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
"Khuch log hamari beronaq zindagi ke uljhay howay raston main sirf ronaq bikharnay atay hain aur jub hamari zindagi roshniyon se bhar jati hai tab woh bohat khamoshi se hamari zindagi se chalay jatay hain magar phir jub is zindagi main roshniyan madham parnay lag jati hain tab woh hamara sahara bannay phir se aatay hain theek isi tarah jis tarah khulay asman ke saye talay subah ki gulabi kirnon ke aqab main sitaray timtima kar chalay jatay hain magar sham ke alwida kehnay par woh siyah falq ki rahon main phir se jagmaga kar roshniyan bikhairnay wapis aatay hain."
0 comments:
Post a Comment